Ji chahe to sheesha ban ja, ji chahe paimana ban ja
Sheesha paimana kya banna, mai ban ja maikhana ban ja..
Mai ban kar, maikhana ban kar masti ka afsana ban ja
Masti ka afsana bankar hasti se begaana ban ja
Hasti se bagaana hona masti ka afsana banna
Is hone se is banne se achha hai deewana ban ja
Deewana ban jane se deewana hona achha hai
deewana hone se achha khak-e-dar-e-janana ban ja
Khak-e-dar-e-janana kya hai ahle dil ki annkh ka surma
Shama ke dil ki thandak ban ja noor-e-dil-e-parwana ban ja
Seekh Zaheen ke dil se jalna kahe ko har shamma par jalna
Apni aag mein khud jal jaye tu aisa parwana ban ja
Poetry by: Baba Zaheen Shah Taji
Thank very much for this great lyrics
I listen this song by abida parveen
its so great music and voice